sabab to kuchh bhi nahin aur udas rahta hai
sabab to kuchh bhī nahīñ aur udaas rahtā hai
ye kaisā dard hai jo dil ke paas rahtā hai
mujhe patā nahīñ us kā magar ye suntā huuñ
vo in dinoñ mire ghar ke hī paas rahtā hai
mirī kitāb ke aurāq sab tumhāre haiñ
jahāñ se dekho tirā iqtibās rahtā hai
maiñ kāTtā huuñ har ek lamha karbalā kī tarah
laboñ pe pyaas to dil meñ hirās rahtā hai
maiñ kal talak jise ik aañkh bhī ye bhātā thā
usī ke dil meñ mirā ab nivās rahtā hai
'nasīm' naam ke us aadmī se milnā tum
na jaane har ghaḌī kyuuñ bad-havās rahtā hai
sabab to kuchh bhi nahin aur udas rahta hai
ye kaisa dard hai jo dil ke pas rahta hai
mujhe pata nahin us ka magar ye sunta hun
wo in dinon mere ghar ke hi pas rahta hai
meri kitab ke auraq sab tumhaare hain
jahan se dekho tera iqtibas rahta hai
main kaTta hun har ek lamha karbala ki tarah
labon pe pyas to dil mein hiras rahta hai
main kal talak jise ek aankh bhi ye bhata tha
usi ke dil mein mera ab niwas rahta hai
'nasim' nam ke us aadmi se milna tum
na jaane har ghaDi kyun bad-hawas rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.