sabab wo puchh rahe hain udas hone ka
sabab vo pūchh rahe haiñ udaas hone kā
mirā mizāj nahīñ be-libās hone kā
nayā bahāna hai har pal udaas hone kā
ye fā.eda hai tire ghar ke paas hone kā
mahaktī raat ke lamho nazar rakho mujh par
bahānā DhūñD rahā huuñ udaas hone kā
maiñ tere paas batā kis ġharaz se aayā huuñ
subūt de mujhe chehra-shanās hone kā
mirī ġhazal se banā zehn meñ koī tasvīr
sabab na pūchh mire devdās hone kā
kahāñ ho aao mirī bhūlī-bisrī yaado aao
ḳhush-āmdīd hai mausam udaas hone kā
ka.ī dinoñ se tabī.at mirī udaas na thī
yahī javāz bahut hai udaas hone kā
maiñ ahmiyat bhī samajhtā huuñ qahqahoñ kī magar
mazā kuchh apnā alag hai udaas hone kā
mire laboñ se tabassum mazāq karne lagā
maiñ likh rahā thā qasīda udaas hone kā
pata nahīñ ye parinde kahāñ se aa pahuñche
abhī zamāna kahāñ thā udaas hone kā
maiñ kah rahā huuñ ki ai dil idhar-udhar na bhaTak
guzar na jaa.e zamāna udaas hone kā
sabab wo puchh rahe hain udas hone ka
mera mizaj nahin be-libas hone ka
naya bahana hai har pal udas hone ka
ye faeda hai tere ghar ke pas hone ka
mahakti raat ke lamho nazar rakho mujh par
bahana DhunD raha hun udas hone ka
main tere pas bata kis gharaz se aaya hun
subut de mujhe chehra-shanas hone ka
meri ghazal se bana zehn mein koi taswir
sabab na puchh mere dewdas hone ka
kahan ho aao meri bhuli-bisri yaado aao
KHush-amdid hai mausam udas hone ka
kai dinon se tabiat meri udas na thi
yahi jawaz bahut hai udas hone ka
main ahmiyat bhi samajhta hun qahqahon ki magar
maza kuchh apna alag hai udas hone ka
mere labon se tabassum mazaq karne laga
main likh raha tha qasida udas hone ka
pata nahin ye parinde kahan se aa pahunche
abhi zamana kahan tha udas hone ka
main kah raha hun ki ai dil idhar-udhar na bhaTak
guzar na jae zamana udas hone ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.