sabhi hain jhuThe to sach main hi bol kar dekhun
sabhī haiñ jhūThe to sach maiñ hī bol kar dekhūñ
bahut añdherā hai lekin TaTol kar dekhūñ
mirā charāġh bujhegā yā raushnī hogī
havā ke saath ye jhagḌā bhī mol kar dekhūñ
pata chale ki mirā shahr kitnā behis hai
fazā meñ zahr kisī roz ghol kar dekhūñ
ye dekhnā hai vo kitnā qarīb aatā hai
us ajnabī se zarā mel-jol kar dekhūñ
pakaḌ rakhe haiñ ka.ī ḳhvāb merī āñkhoñ ne
jo niiñd aa.e to darvāza khol kar dekhūñ
sunā hai 'ishq meñ dīvāngī zarūrī hai
tū ek lai meñ badal maiñ bhī Dol kar dekhūñ
tū zindagī hai to ho jā.ūñ maiñ fanā tujh meñ
tū film hai to koī maiñ bhī role kar dekhūñ
sabhi hain jhuThe to sach main hi bol kar dekhun
bahut andhera hai lekin TaTol kar dekhun
mera charagh bujhega ya raushni hogi
hawa ke sath ye jhagDa bhi mol kar dekhun
pata chale ki mera shahr kitna behis hai
faza mein zahr kisi roz ghol kar dekhun
ye dekhna hai wo kitna qarib aata hai
us ajnabi se zara mel-jol kar dekhun
pakaD rakhe hain kai KHwab meri aankhon ne
jo nind aae to darwaza khol kar dekhun
suna hai 'ishq mein diwangi zaruri hai
tu ek lai mein badal main bhi Dol kar dekhun
tu zindagi hai to ho jaun main fana tujh mein
tu film hai to koi main bhi role kar dekhun
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 93)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.