sabhi hunar aazma raha hai
sabhī hunar aazmā rahā hai
ye vaqt jiinā sikhā rahā hai
raheñge ab ḳhush-gavār mausam
vo faal aisī batā rahā hai
samajh nahīñ pā rahā huuñ kyoñ vo
mujhe nihāre hī jā rahā hai
hai purza-purza jigar kī hālat
magar vo sapne sajā rahā hai
diyā hai har pal ne ik sabaq bhī
nasīb jab jab ḳhafā rahā hai
marī nahīñ hai abhī mohabbat
ravayya us kā batā rahā hai
kaTegā kaise safar akelā
ye Dar abhī se satā rahā hai
mujhe ye ġham hai ki aaj 'hashmat'
ḳharāb raste pe jā rahā hai
sabhi hunar aazma raha hai
ye waqt jina sikha raha hai
rahenge ab KHush-gawar mausam
wo fal aisi bata raha hai
samajh nahin pa raha hun kyon wo
mujhe nihaare hi ja raha hai
hai purza-purza jigar ki haalat
magar wo sapne saja raha hai
diya hai har pal ne ek sabaq bhi
nasib jab jab KHafa raha hai
mari nahin hai abhi mohabbat
rawayya us ka bata raha hai
kaTega kaise safar akela
ye Dar abhi se sata raha hai
mujhe ye gham hai ki aaj 'hashmat'
KHarab raste pe ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.