sabhi ke sine mein dil ke bajae patthar hai
sabhī ke siine meñ dil ke bajā.e patthar hai
zarā sañbhal ke yahāñ har qadam pe Thokar hai
use nazar nahīñ aate uyuub apne hī
vo shaḳhs maanā huā ek ā.ina-gar hai
chhupā.e baiThī hai kitne hī raaz siine meñ
hamārī zaat bhī jaise koī samundar hai
tumhāre jism kī ḳhushbū basī hai sāñsoñ meñ
vajūd jis se abhī tak mirā mo.attar hai
tumhārā tarz-e-takallum bahut latīf sahī
tumhārī baat meñ poshīda tīr-o-nashtar hai
ba-roz-e-hashr maiñ kyā muñh dikhā.ūñgā us ko
na jaane kitne gunāhoñ kā bojh sar par hai
sabhi ke sine mein dil ke bajae patthar hai
zara sanbhal ke yahan har qadam pe Thokar hai
use nazar nahin aate uyub apne hi
wo shaKHs mana hua ek aaina-gar hai
chhupae baiThi hai kitne hi raaz sine mein
hamari zat bhi jaise koi samundar hai
tumhaare jism ki KHushbu basi hai sanson mein
wajud jis se abhi tak mera moattar hai
tumhaara tarz-e-takallum bahut latif sahi
tumhaari baat mein poshida tir-o-nashtar hai
ba-roz-e-hashr main kya munh dikhaunga us ko
na jaane kitne gunahon ka bojh sar par hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.