sabhi ki thi nazar is par garebanon pe kya guzri
sabhī kī thī nazar is par garebānoñ pe kyā guzrī
kisī ne ye nahīñ dekhā ki dīvānoñ pe kyā guzrī
na pūchho is bharī mahfil meñ insānoñ pe kyā guzrī
hue jab sham.a ke TukḌe to parvānoñ pe kyā guzrī
dhuāñ ban kar uḌā jaatā hai maiḳhāne kā mai-ḳhāna
merā dil toḌ ke saaqī ki paimānoñ pe kyā guzrī
har ek jām-e-mai-e-gul-gūñ kā da.avedār ban baiThā
tirī nīchī nazar uThte hī īmānoñ pe kyā guzrī
hazāroñ saal sar sāhil se Takrātī rahīñ maujeñ
mirī kashtī se Takkar le ke tūfānoñ pe kyā guzrī
abhī 'fayyāz' phir tahzīb legī ik na.ī karvaT
ye phir tārīḳh likkhegī ki insānoñ pe kyā guzrī
sabhi ki thi nazar is par garebanon pe kya guzri
kisi ne ye nahin dekha ki diwanon pe kya guzri
na puchho is bhari mahfil mein insanon pe kya guzri
hue jab shama ke TukDe to parwanon pe kya guzri
dhuan ban kar uDa jata hai maiKHane ka mai-KHana
mera dil toD ke saqi ki paimanon pe kya guzri
har ek jam-e-mai-e-gul-gun ka dawedar ban baiTha
teri nichi nazar uThte hi imanon pe kya guzri
hazaron sal sar sahil se Takraati rahin maujen
meri kashti se Takkar le ke tufanon pe kya guzri
abhi 'fayyaz' phir tahzib legi ek nai karwaT
ye phir tariKH likkhegi ki insanon pe kya guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.