sabhi kuchh KHak mein tahlil hota ja raha hai
sabhī kuchh ḳhaak meñ tahlīl hotā jā rahā hai
chalo ye shahr bhī tabdīl hotā jā rahā hai
kisī kī guftugū meñ ek vo mafhūm hai jo
haqā.eq se alag tarsīl hotā jā rahā hai
maiñ kaise tark kar duuñ ab ki ye kār-e-mohabbat
kisī ke hukm kī ta.amīl hotā jā rahā hai
maiñ kyā tartīb denā chāhtā huuñ aur mujh se
ye kyā hai jo yahāñ tashkīl hotā jā rahā hai
nahīñ khultā ye kaisā ḳhauf hai jo lamha lamha
sabhī ke ḳhuun meñ tahlīl hotā jā rahā hai
sabhi kuchh KHak mein tahlil hota ja raha hai
chalo ye shahr bhi tabdil hota ja raha hai
kisi ki guftugu mein ek wo mafhum hai jo
haqaeq se alag tarsil hota ja raha hai
main kaise tark kar dun ab ki ye kar-e-mohabbat
kisi ke hukm ki tamil hota ja raha hai
main kya tartib dena chahta hun aur mujh se
ye kya hai jo yahan tashkil hota ja raha hai
nahin khulta ye kaisa KHauf hai jo lamha lamha
sabhi ke KHun mein tahlil hota ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.