sabhi kuchh saf hai mubham nahin hai
sabhī kuchh saaf hai mub.ham nahīñ hai
ajab aalam kahīñ mātam nahīñ hai
jafāoñ kā miyāñ mausam nahīñ hai
uThe āvāz vo welcome nahīñ hai
sadāqat kā yahāñ parcham nahīñ hai
jhukā hai sar magar ye ḳham nahīñ hai
jo dānista jhukā.e sar khaḌe ho
vo begam hai koī rustam nahīñ hai
azīzoñ se bharī mahfil meñ yāroñ
bahut se log haiñ hamdam nahīñ hai
masīhā.ī nahīñ vo pārsā.ī
kahīñ iisā kahīñ mariyam nahīñ hai
ḳhatāoñ par nadāmat aur 'ahsan'
hamīñ ham haiñ magar aadam nahīñ hai
sabhi kuchh saf hai mubham nahin hai
ajab aalam kahin matam nahin hai
jafaon ka miyan mausam nahin hai
uThe aawaz wo welcome nahin hai
sadaqat ka yahan parcham nahin hai
jhuka hai sar magar ye KHam nahin hai
jo danista jhukae sar khaDe ho
wo begam hai koi rustam nahin hai
azizon se bhari mahfil mein yaron
bahut se log hain hamdam nahin hai
masihai nahin wo parsai
kahin isa kahin mariyam nahin hai
KHataon par nadamat aur 'ahsan'
hamin hum hain magar aadam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.