sabhi mai-kash tawazun kho rahe hain
sabhī mai-kash tavāzun kho rahe haiñ
ḳhudā se be-takalluf ho rahe haiñ
kisī kī aañkh banjar ho ga.ī hai
kisī ke ashk bartan dho rahe haiñ
kahīñ par sog vājib ho rahā hai
kisī ke farz puure ho rahe haiñ
hameñ dhoka milā dhoka hī deñge
jo kaaTā hai vo aage bo rahe haiñ
bahut parhez bartā jā rahā hai
mire zaḳhmoñ ko nāḳhun ro rahe haiñ
sabhi mai-kash tawazun kho rahe hain
KHuda se be-takalluf ho rahe hain
kisi ki aankh banjar ho gai hai
kisi ke ashk bartan dho rahe hain
kahin par sog wajib ho raha hai
kisi ke farz pure ho rahe hain
hamein dhoka mila dhoka hi denge
jo kaTa hai wo aage bo rahe hain
bahut parhez barta ja raha hai
mere zaKHmon ko naKHun ro rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.