sabhi rishton ke darwaze muqaffal ho rahe hain
sabhī rishtoñ ke darvāze muqaffal ho rahe haiñ
hamāre biich jo raste the daldal ho rahe haiñ
abhī to dasht aa.e aur phir is ke baad jangal
abhī se kyoñ tumhāre paañv bojhal ho rahe haiñ
zamāne baad soyā huuñ mujhe sone do kuchh pal
adhūre ḳhvāb the jitne mukammal ho rahe haiñ
ye kaisī be-hisī kī dhuul ham par chhā rahī hai
ḳhud apnī zindagī se ham mo.attal ho rahe haiñ
thakan ab aap kī āñkhoñ meñ jamtī jā rahī hai
so ab ham aap kī nazroñ se ojhal ho rahe haiñ
'nabīl' utrā hai kaisā dil-rubā mausam zamīñ par
ki jitne niim the bastī meñ sandal ho rahe haiñ
sabhi rishton ke darwaze muqaffal ho rahe hain
hamare bich jo raste the daldal ho rahe hain
abhi to dasht aae aur phir is ke baad jangal
abhi se kyon tumhaare panw bojhal ho rahe hain
zamane baad soya hun mujhe sone do kuchh pal
adhure KHwab the jitne mukammal ho rahe hain
ye kaisi be-hisi ki dhul hum par chha rahi hai
KHud apni zindagi se hum moattal ho rahe hain
thakan ab aap ki aankhon mein jamti ja rahi hai
so ab hum aap ki nazron se ojhal ho rahe hain
'nabil' utra hai kaisa dil-ruba mausam zamin par
ki jitne nim the basti mein sandal ho rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.