sabhi sapne adhure hain
sabhī sapne adhūre haiñ
jahāñ vaale adhūre haiñ
mohabbat kī kahānī ke
sabhī hisse adhūre haiñ
na tere saath ho aisā
ki ham jitne adhūre haiñ
sune jo tere baare meñ
vo sab qisse adhūre haiñ
kahānī nā-mukammal hai
ka.ī fiqre adhūre haiñ
abhī tak gum-shuda hai vo
abhī tak ham adhūre haiñ
binā māñ-bāp ke jag meñ
sabhī bachche adhūre haiñ
tirī bāteñ adhūrī thiiñ
mire jumle adhūre haiñ
tirī tamsīl ke 'ābid'
ka.ī nuqte adhūre haiñ
sabhi sapne adhure hain
jahan wale adhure hain
mohabbat ki kahani ke
sabhi hisse adhure hain
na tere sath ho aisa
ki hum jitne adhure hain
sune jo tere bare mein
wo sab qisse adhure hain
kahani na-mukammal hai
kai fiqre adhure hain
abhi tak gum-shuda hai wo
abhi tak hum adhure hain
bina man-bap ke jag mein
sabhi bachche adhure hain
teri baaten adhuri thin
mere jumle adhure hain
teri tamsil ke 'abid'
kai nuqte adhure hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.