sabr ka pas jo mere na wazifa hota
sabr kā paas jo mere na vazīfa hotā
zindagī ghar meñ tumhāre na Thikānā hotā
kaash vo kartā kabhī is meñ vujūd apnā gum
kaash ik roz samundar bhī to dariyā hotā
vaqt pe aañkh agar ham ne na poñchhī hotī
ye vujūd ashk ke saath aañkh se bahtā hotā
ham rivāyat kī ravānī meñ yūñhī bah jaate
biij ḳhuddārī kā dil meñ jo na ropā hotā
jab muqābil hue duniyā ke to jiinā aayā
log chup-chāp deñ jiine nahīñ aisā hotā
suukh jaatā ye shajar man kā agar shāḳhoñ pe
koī ummīd kā panchhī nahīñ baiThā hotā
ham samajhte na agar hone kā matlab apne
saath apne hī ye ik tarh kā dhokā hotā
sabr ka pas jo mere na wazifa hota
zindagi ghar mein tumhaare na Thikana hota
kash wo karta kabhi is mein wujud apna gum
kash ek roz samundar bhi to dariya hota
waqt pe aankh agar hum ne na ponchhi hoti
ye wujud ashk ke sath aankh se bahta hota
hum riwayat ki rawani mein yunhi bah jate
bij KHuddari ka dil mein jo na ropa hota
jab muqabil hue duniya ke to jina aaya
log chup-chap den jine nahin aisa hota
sukh jata ye shajar man ka agar shaKHon pe
koi ummid ka panchhi nahin baiTha hota
hum samajhte na agar hone ka matlab apne
sath apne hi ye ek tarh ka dhoka hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.