sabr mushkil tha mohabbat ka asar hone tak
sabr mushkil thā mohabbat kā asar hone tak
jaan Thahrī na dil-e-dost meñ ghar hone tak
shab-e-furqat kī bhī hone ko sahar to hogī
haañ magar ham nahīñ hone ke sahar hone tak
sahne haiñ jaur-o-sitam jhelne haiñ ranj-o-alam
yā'nī karnī hai basar 'umr basar hone tak
terā parda bhī uThā degī mirī rusvā.ī
terā parda hai mire ḳhāk-ba-sar hone tak
mutazalzal to hai muddat se nizām-e-ālam
naubat aa pahuñchī hai ab zer-o-zabar hone tak
fursat-e-mātam-e-parvāna kahāñ se aa.e
sham' ko maut se laḌnā hai sahar hone tak
ai 'vafā' mārka-e-ishq to sar kyā hogā
ho chukeñge hamīñ ye mā'rka sar hone tak
sabr mushkil tha mohabbat ka asar hone tak
jaan Thahri na dil-e-dost mein ghar hone tak
shab-e-furqat ki bhi hone ko sahar to hogi
han magar hum nahin hone ke sahar hone tak
sahne hain jaur-o-sitam jhelne hain ranj-o-alam
ya'ni karni hai basar 'umr basar hone tak
tera parda bhi uTha degi meri ruswai
tera parda hai mere KHak-ba-sar hone tak
mutazalzal to hai muddat se nizam-e-alam
naubat aa pahunchi hai ab zer-o-zabar hone tak
fursat-e-matam-e-parwana kahan se aae
sham' ko maut se laDna hai sahar hone tak
ai 'wafa' marka-e-ishq to sar kya hoga
ho chukenge hamin ye ma'rka sar hone tak
- Book : Sang-e-meel (Pg. 38)
- Author : mela Ram ‘vfaa’
- Publication : Darpan Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.