sabr-o-sukun-o-hosh gae intizar mein
sabr-o-sukūn-o-hosh ga.e intizār meñ
ab kuchh nahīñ rahā hai mire iḳhtiyār meñ
ham is tarah rahe chaman-e-rozgār meñ
sūkhe kabhī ḳhizāñ meñ na phūle bahār meñ
aa jān-e-ārzū ki tire intizār meñ
gulshan meñ dilkashī na kashish lāla-zār meñ
kunj-e-qafas meñ ātish-e-gul ne ġhazab kiyā
chāroñ taraf se aag lagā dī bahār meñ
kahtā hai aur kis ko safar-dar-vatan jahāñ
maiñ ajnabī huuñ āj-kal apne dayār meñ
mai-ḳhāna-e-alast se elaan ho gayā
saaqī kā izn-e-ām hai ab kī bahār meñ
kis kī naved-e-āmad-o-āmad hai ai ḳhudā
kyoñ aag sī lagī hai tanaffus ke taar meñ
jo chāhtā hai kartā hai vo kārsāz hai
kis ko hai daḳhl marzī-e-parvardigār meñ
sham-e-hayāt bujh ga.ī yā dil bujhā 'qadīr'
yā inqalāb ho gayā lail-o-nahār meñ
sabr-o-sukun-o-hosh gae intizar mein
ab kuchh nahin raha hai mere iKHtiyar mein
hum is tarah rahe chaman-e-rozgar mein
sukhe kabhi KHizan mein na phule bahaar mein
aa jaan-e-arzu ki tere intizar mein
gulshan mein dilkashi na kashish lala-zar mein
kunj-e-qafas mein aatish-e-gul ne ghazab kiya
chaaron taraf se aag laga di bahaar mein
kahta hai aur kis ko safar-dar-watan jahan
main ajnabi hun aaj-kal apne dayar mein
mai-KHana-e-alast se elan ho gaya
saqi ka izn-e-am hai ab ki bahaar mein
kis ki nawed-e-amad-o-amad hai ai KHuda
kyon aag si lagi hai tanaffus ke tar mein
jo chahta hai karta hai wo karsaz hai
kis ko hai daKHl marzi-e-parwardigar mein
sham-e-hayat bujh gai ya dil bujha 'qadir'
ya inqalab ho gaya lail-o-nahaar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.