sabr rah jata hai aur ishq ki chal jati hai
sabr rah jaatā hai aur 'ishq kī chal jaatī hai
zabt kartā huuñ magar aah nikal jaatī hai
kuchh natīja na sahī 'ishq kī ummīdoñ kā
dil to baḌhtā hai tabī'at to bahal jaatī hai
sham' ke bazm meñ jalne kā jo kuchh ho anjām
magar is azm se sāñche meñ to Dhal jaatī hai
vā'da-e-bosā-e-abrū kā na kar ġhair se zikr
dil-lagī meñ kabhī talvār bhī chal jaatī hai
sabr rah jata hai aur 'ishq ki chal jati hai
zabt karta hun magar aah nikal jati hai
kuchh natija na sahi 'ishq ki ummidon ka
dil to baDhta hai tabi'at to bahal jati hai
sham' ke bazm mein jalne ka jo kuchh ho anjam
magar is azm se sanche mein to Dhal jati hai
wa'da-e-bosa-e-abru ka na kar ghair se zikr
dil-lagi mein kabhi talwar bhi chal jati hai
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 107)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.