sabr se TuTa hua zabt se haara hua main
sabr se TuuTā huā zabt se haarā huā maiñ
jitnā baaqī bachā huuñ utnā tumhārā huā maiñ
phuul khilte ga.e bantā gayā tan guldasta
dekhte dekhte zaḳhmoñ se nazāra huā maiñ
umr-bhar duniyā ke īñdhan meñ pakāyā gayā huuñ
aap ke chaak se nā-puḳhta utārā huā maiñ
ab zamīñ-zād mujhe dekh ke rah dekhte haiñ
ūñchā uḌtā gayā itnā ki sitārā huā maiñ
chunne vāloñ kā bhalā ho jo mujhe DhūñD ke laa.e
TukḌe-TukḌe ko milā kar hī to saarā huā maiñ
zindagī ek juārī kā guzārā huā pal
aur us pal ke shabistān meñ haarā huā maiñ
jab mire dil kā machaltā huā armāñ hue aap
aap kī jumbish-e-abrū kā ishāra huā maiñ
aap ko dekh ke kāfir huā thā shūmī-e-baḳht
aap se mil ke musalmān dobāra huā maiñ
ab kisī lauh-e-lahad kī tarah miTtā huā naqsh
aur phir hashr meñ ik naam pukārā huā maiñ
apnī derīna rivāyāt kā saudā kar ke
apne ajdād kī daulat kā ḳhasāra huā maiñ
sālhā-sāl nigāhoñ ke chalan sīkhe haiñ
ab kahīñ jā ke zamāne ko gavārā huā maiñ
sabr se TuTa hua zabt se haara hua main
jitna baqi bacha hun utna tumhaara hua main
phul khilte gae banta gaya tan guldasta
dekhte dekhte zaKHmon se nazara hua main
umr-bhar duniya ke indhan mein pakaya gaya hun
aap ke chaak se na-puKHta utara hua main
ab zamin-zad mujhe dekh ke rah dekhte hain
uncha uDta gaya itna ki sitara hua main
chunne walon ka bhala ho jo mujhe DhunD ke lae
TukDe-TukDe ko mila kar hi to sara hua main
zindagi ek juari ka guzara hua pal
aur us pal ke shabistan mein haara hua main
jab mere dil ka machalta hua arman hue aap
aap ki jumbish-e-abru ka ishaara hua main
aap ko dekh ke kafir hua tha shumi-e-baKHt
aap se mil ke musalman dobara hua main
ab kisi lauh-e-lahad ki tarah miTta hua naqsh
aur phir hashr mein ek nam pukara hua main
apni derina riwayat ka sauda kar ke
apne ajdad ki daulat ka KHasara hua main
salha-sal nigahon ke chalan sikhe hain
ab kahin ja ke zamane ko gawara hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.