sabz jazboñ kī jal-tarang kathā
aaj kar degī sab ko dang kathā
terī āñkhoñ meñ rang bhar degī
ḳhvāb-zāroñ kī ḳhvāb-rang kathā
maiñ havāoñ meñ jaise uḌne lagī
ban rahā jab thā ang ang kathā
vo sunātā gayā december meñ
sabz āñkhoñ se bhang bhang kathā
lutf aur lutf bhī december meñ
vaah re vaah ye umang kathā
ik sukūñ rach gayā rag-o-pai meñ
de chukī tujh ko ruup rang kathā
hai 'duā' kā vasīla zaat apnī
kahte haiñ mujh se ḳhār-o-sang kathā
sabz jazbon ki jal-tarang katha
aaj kar degi sab ko dang katha
teri aankhon mein rang bhar degi
KHwab-zaron ki KHwab-rang katha
main hawaon mein jaise uDne lagi
ban raha jab tha ang ang katha
wo sunata gaya december mein
sabz aankhon se bhang bhang katha
lutf aur lutf bhi december mein
wah re wah ye umang katha
ek sukun rach gaya rag-o-pai mein
de chuki tujh ko rup rang katha
hai 'dua' ka wasila zat apni
kahte hain mujh se KHar-o-sang katha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.