sabz mausam titliyan le jaega
sabz mausam titliyāñ le jā.egā
reshmī phul-vāriyāñ le jā.egā
shīsh-mahloñ meñ sahar kā siren
pattharoñ kī boliyāñ le jā.egā
saath apne shaam kā kaalā gulāb
saare din kī surḳhiyāñ le jā.egā
apne āñchal meñ sunahrī āftāb
sar-phirī tārīkiyāñ le jā.egā
mere ḳhvāboñ kā farishta ek din
phuul sī shahzādiyāñ le jā.egā
peT kī puujā kī ḳhātir devtā
mandiroñ se deviyāñ le jā.egā
kyā hamāre shahr se dariyā-e-nīl
ḳhūb-sūrat laḌkiyāñ le jā.egā
vādī-e-kashmīr se phir ‘jīm-alif’
ḳhvāhishoñ kī siskiyāñ le jā.egā
sabz mausam titliyan le jaega
reshmi phul-wariyan le jaega
shish-mahlon mein sahar ka siren
pattharon ki boliyan le jaega
sath apne sham ka kala gulab
sare din ki surKHiyan le jaega
apne aanchal mein sunahri aaftab
sar-phiri tarikiyan le jaega
mere KHwabon ka farishta ek din
phul si shahzadiyan le jaega
peT ki puja ki KHatir dewta
mandiron se dewiyan le jaega
kya hamare shahr se dariya-e-nil
KHub-surat laDkiyan le jaega
wadi-e-kashmir se phir ‘jim-alif’
KHwahishon ki siskiyan le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.