sabz phareron ka wo aanchal barfila hai
sabz phareroñ kā vo āñchal barfīlā hai
surḳh salāḳhoñ kā vo maqtal barfīlā hai
ThanDī aahoñ se har manzar jam jā.egā
yaḳh-basta yādoñ kā jangal barfīlā hai
jis ke aañsū bārish kī būñdoñ jaise haiñ
us kī āñkhoñ kā vo kājal barfīlā hai
misrā misrā rang-e-taġhazzul kaañp rahā hai
merā taḳhayyul aaj mukammal barfīlā hai
parsoñ kī muTThī meñ aaj kā mausam hogā
aaj kī qaid meñ ye merā kal barfīlā hai
dard kī chādar taan ke baiThā huuñ kamre meñ
'sāgar' us ke hijr kā har pal barfīlā hai
sabz phareron ka wo aanchal barfila hai
surKH salaKHon ka wo maqtal barfila hai
ThanDi aahon se har manzar jam jaega
yaKH-basta yaadon ka jangal barfila hai
jis ke aansu barish ki bundon jaise hain
us ki aankhon ka wo kajal barfila hai
misra misra rang-e-taghazzul kanp raha hai
mera taKHayyul aaj mukammal barfila hai
parson ki muTThi mein aaj ka mausam hoga
aaj ki qaid mein ye mera kal barfila hai
dard ki chadar tan ke baiTha hun kamre mein
'sagar' us ke hijr ka har pal barfila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.