sabz raaton ka na chamkile dinon ka rang hai
sabz rātoñ kā na chamkīle dinoñ kā rang hai
sāmne āñkhoñ ke bujhtā raakh jaisā rang hai
rang kī buniyād par tafrīq hai gahrā fareb
jism ke andar to sab meñ ek jaisā rang hai
tursh ehsāsāt meñ ab ghultī jaatī hai miThās
tum jo aa.e ho to har shai par sunahrā rang hai
maiñ tumheñ tasvīr kah duuñ to burā mat mānñā
kitne dil-kash ḳhāl-o-ḳhat haiñ kitnā achchhā rang hai
jism kī dhartī pe har jazba khulā hai phuul sā
lazzatoñ kī aañkh meñ har rang hañstā rang hai
dhund ke is paar ham haiñ aur siyāhī vaqt kī
dhund ke us paar sūraj hai sunahrā rang hai
jab vafā kī dhuup chamkegī to ḳhud uḌ jā.egā
pyaar ke rangīñ libāsoñ par jo kachchā rang hai
sabz raaton ka na chamkile dinon ka rang hai
samne aankhon ke bujhta rakh jaisa rang hai
rang ki buniyaad par tafriq hai gahra fareb
jism ke andar to sab mein ek jaisa rang hai
tursh ehsasat mein ab ghulti jati hai miThas
tum jo aae ho to har shai par sunahra rang hai
main tumhein taswir kah dun to bura mat manna
kitne dil-kash KHal-o-KHat hain kitna achchha rang hai
jism ki dharti pe har jazba khula hai phul sa
lazzaton ki aankh mein har rang hansta rang hai
dhund ke is par hum hain aur siyahi waqt ki
dhund ke us par suraj hai sunahra rang hai
jab wafa ki dhup chamkegi to KHud uD jaega
pyar ke rangin libason par jo kachcha rang hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.