sabza pamal kali shaKH pe murjhai hai
sabza pāmāl kalī shāḳh pe murjhā.ī hai
aur hai shor ki gulshan meñ bahār aa.ī hai
zabt-e-ġham karne se baḌhtī hai jalan siine kī
aur kuchh khul ke jo kahtā huuñ to rusvā.ī hai
sach hai paanī nahīñ kartā kabhī patthar pe asar
mere rone pe sitamgar ko hañsī aa.ī hai
mil ga.ī ishq ko kaunain kī daulat ai dost
husn ne aaj mohabbat kī qasam khaa.ī hai
vo idhar aa.e idhar raat ne dam toḌ diyā
haa.e kis vaqt sitāroñ ko bhī niiñd aa.ī hai
kyuuñ na ho zer-o-zabar aql-o-ḳhirad kī duniyā
sau qayāmat kī qayāmat tirī añgḌā.ī hai
maiñ karūñ tum se gilā ye mirā sheva hī nahīñ
baat hī baat meñ ye baat nikal aa.ī hai
'soz' dīvāna thā dāman kī ḳhabar kyā rakhtā
aap ne zulf-e-siyah kis liye bikhrā.ī hai
sabza pamal kali shaKH pe murjhai hai
aur hai shor ki gulshan mein bahaar aai hai
zabt-e-gham karne se baDhti hai jalan sine ki
aur kuchh khul ke jo kahta hun to ruswai hai
sach hai pani nahin karta kabhi patthar pe asar
mere rone pe sitamgar ko hansi aai hai
mil gai ishq ko kaunain ki daulat ai dost
husn ne aaj mohabbat ki qasam khai hai
wo idhar aae idhar raat ne dam toD diya
hae kis waqt sitaron ko bhi nind aai hai
kyun na ho zer-o-zabar aql-o-KHirad ki duniya
sau qayamat ki qayamat teri angDai hai
main karun tum se gila ye mera shewa hi nahin
baat hi baat mein ye baat nikal aai hai
'soz' diwana tha daman ki KHabar kya rakhta
aap ne zulf-e-siyah kis liye bikhrai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.