sach agar mera KHwab ho jae
sach agar merā ḳhvāb ho jaa.e
mahv sab iztirāb ho jaa.e
kar atā aisā ism ki jis se
khoyā dil bāzyāb ho jaa.e
yā to hāsil ho dastaras ḳhud par
yā to sach ye sarāb ho jaa.e
rakkheñ kyūñkar ġham-e-jahāñ kā hisāb
kyoñ na ye be-hisāb ho jaa.e
hotā hai ye faqat mohabbat meñ
ḳhāmushī bhī javāb ho jaa.e
zarf hī kā to farq hai varna
sho.ala bhī āftāb ho jaa.e
gar salīqa nahīñ ho jiine kā
zindagī bhī azaab ho jaa.e
sach agar mera KHwab ho jae
mahw sab iztirab ho jae
kar ata aisa ism ki jis se
khoya dil bazyab ho jae
ya to hasil ho dastaras KHud par
ya to sach ye sarab ho jae
rakkhen kyunkar gham-e-jahan ka hisab
kyon na ye be-hisab ho jae
hota hai ye faqat mohabbat mein
KHamushi bhi jawab ho jae
zarf hi ka to farq hai warna
shoala bhi aaftab ho jae
gar saliqa nahin ho jine ka
zindagi bhi azab ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.