sach bolne wale ki jaan KHatre mein hai
sach bolne wale ki jaan KHatre mein hai
Khursheed Ambar Pratapgadhi
MORE BYKhursheed Ambar Pratapgadhi
sach bolne vaale kī jaañ ḳhatre meñ hai
qātil nahīñ munsif yahāñ ḳhatre meñ hai
har zarra jis ke dam se hai mahkā huā
vo ḳhushbuoñ kā kārvāñ ḳhatre meñ hai
jā koī miTTī kā diyā ghar meñ jalā
terī ḳhayālī kahkashāñ ḳhatre meñ hai
honā to thā gahvāra-e-amn-o-amāñ
tere sabab lekin jahāñ ḳhatre meñ hai
ab sho.abada-bāzī nahīñ chal pā.egī
murshid tumhārā āstāñ ḳhatre meñ hai
har chand use ḳhatre kā andāza nahīñ
har shaḳhs lekin be-gumāñ ḳhatre meñ hai
apne liye jā-e-amāñ DhūñDe kahāñ
jo dostoñ ke darmiyāñ ḳhatre meñ hai
sach bolne wale ki jaan KHatre mein hai
qatil nahin munsif yahan KHatre mein hai
har zarra jis ke dam se hai mahka hua
wo KHushbuon ka karwan KHatre mein hai
ja koi miTTi ka diya ghar mein jala
teri KHayali kahkashan KHatre mein hai
hona to tha gahwara-e-amn-o-aman
tere sabab lekin jahan KHatre mein hai
ab shoabada-bazi nahin chal paegi
murshid tumhaara aastan KHatre mein hai
har chand use KHatre ka andaza nahin
har shaKHs lekin be-guman KHatre mein hai
apne liye ja-e-aman DhunDe kahan
jo doston ke darmiyan KHatre mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.