sach hai ya phir mughaalta hai mujhe
sach hai yā phir muġhālta hai mujhe
koī āvāz de rahā hai mujhe
ek ummīd jaag uThtī hai
āsmāñ jab bhī dekhtā hai mujhe
chhīn letā hai mere saare guhar
jab samundar khañgāltā hai mujhe
ye marāsim bahut purāne haiñ
dasht sadiyoñ se jāntā hai mujhe
merī jānib bhī aa zarā fursat
apne baare meñ sochnā hai mujhe
sach hai ya phir mughaalta hai mujhe
koi aawaz de raha hai mujhe
ek ummid jag uThti hai
aasman jab bhi dekhta hai mujhe
chhin leta hai mere sare guhar
jab samundar khangalta hai mujhe
ye marasim bahut purane hain
dasht sadiyon se jaanta hai mujhe
meri jaanib bhi aa zara fursat
apne bare mein sochna hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.