sach hua KHwab to tabir nahin khinch saka
sach huā ḳhvāb to tā'bīr nahīñ khīñch sakā
maiñ tire jism pe tahrīr nahīñ khīñch sakā
maiñ ne chāhā thā tire dard se mahzūz rahūñ
dard bhī vo ki jise 'mīr' nahīñ khīñch sakā
muddatoñ baa'd tire saath kisī ko dekhā
itnā ghabrāyā ki tasvīr nahīñ khīñch sakā
vo nazar aa.ī mujhe rail kī khiḌkī se magar
tai-shuda vaqt meñ zanjīr nahīñ khīñch sakā
roz laḌtā huuñ maiñ ḳhud apne hī saa.e ke ḳhilāf
vo shajar huuñ ki jo rahgīr nahīñ khīñch sakā
tere shāne ko mayassar haiñ sabhī sar lekin
apne shāne meñ vo tāsīr nahīñ khīñch sakā
sach hua KHwab to ta'bir nahin khinch saka
main tere jism pe tahrir nahin khinch saka
main ne chaha tha tere dard se mahzuz rahun
dard bhi wo ki jise 'mir' nahin khinch saka
muddaton ba'd tere sath kisi ko dekha
itna ghabraya ki taswir nahin khinch saka
wo nazar aai mujhe rail ki khiDki se magar
tai-shuda waqt mein zanjir nahin khinch saka
roz laDta hun main KHud apne hi sae ke KHilaf
wo shajar hun ki jo rahgir nahin khinch saka
tere shane ko mayassar hain sabhi sar lekin
apne shane mein wo tasir nahin khinch saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.