jhuT kah kar bhi wo masnad pe jagah pata hai
jhuuT kah kar bhī vo masnad pe jagah paatā hai
aur mujh ko pas-e-dīvār chunā jaatā hai
us kī is baat pe mujh ko na yaqīñ aa.egā
vo taḌaptā hai mohabbat meñ marā jaatā hai
kaam aate haiñ bure vaqt meñ apne bhaa.ī
aur dushman bhī to bhaa.ī ko kahā jaatā hai
go samajhne meñ zarā der to lagtī hai par
vaqt duniyā ke sabhī rang dikhā jaatā hai
bevafā.ī ke sabhī rang dikhā.e tū ne
soch kar ḳhuun mire dil kā huā jaatā hai
jhuuT go bol rahā hai tū bahut himmat se
tere chehre kā magar rang uḌā jaatā hai
itnī shiddat na thī pahle to kisī jazbe meñ
yaad vo aa.e to aatā hī chalā jaatā hai
aa sikhā degī tujhe 'shamsa' mohabbat kā chalan
kaise har lamha mohabbat meñ jiyā jaatā hai
jhuT kah kar bhi wo masnad pe jagah pata hai
aur mujh ko pas-e-diwar chuna jata hai
us ki is baat pe mujh ko na yaqin aaega
wo taDapta hai mohabbat mein mara jata hai
kaam aate hain bure waqt mein apne bhai
aur dushman bhi to bhai ko kaha jata hai
go samajhne mein zara der to lagti hai par
waqt duniya ke sabhi rang dikha jata hai
bewafai ke sabhi rang dikhae tu ne
soch kar KHun mere dil ka hua jata hai
jhuT go bol raha hai tu bahut himmat se
tere chehre ka magar rang uDa jata hai
itni shiddat na thi pahle to kisi jazbe mein
yaad wo aae to aata hi chala jata hai
aa sikha degi tujhe 'shamsa' mohabbat ka chalan
kaise har lamha mohabbat mein jiya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.