sach kah raza ye kis se lagai hai saT-baat
sach kah 'razā' ye kis se lagā.ī hai sāT-bāT
kuchh phir hai in dinoñ meñ tirā jī nipaT uchāT
dekheñge kyuuñ ke chashmoñ se jaate rahoge tum
laḳht-e-jigar kī chaukī bi.Thā.ī hai ghaaT ghaaT
TukḌe chune haiñ dil ke jo āñkhoñ ke ḳhvān haiñ
hai kis ke mehmānī kā ai mardumāñ ye ThaaT
apnī galī ke aane se mujh ko na man' kar
bad-nām ho ge band karegā jo raah baaT
us chashm-o-dil ne kahnā na maanā tamām 'umr
ham par ḳharābī laa.ī ye ghar hī kī phūT-phāT
rahne de apnī bazm meñ kuchh bolūñ maiñ agar
mānind-e-sham.a phir vahīñ merī zabāñ ko kaaT
ab is galī meñ aatā jo hai har ghaḌī 'razā'
kuchh to milī hai vaañ se tujhe merī baaT chaaT
sach kah 'raza' ye kis se lagai hai saT-baT
kuchh phir hai in dinon mein tera ji nipaT uchaT
dekhenge kyun ke chashmon se jate rahoge tum
laKHt-e-jigar ki chauki biThai hai ghaT ghaT
TukDe chune hain dil ke jo aankhon ke KHwan hain
hai kis ke mehmani ka ai marduman ye ThaT
apni gali ke aane se mujh ko na man' kar
bad-nam ho ge band karega jo rah baT
us chashm-o-dil ne kahna na mana tamam 'umr
hum par KHarabi lai ye ghar hi ki phuT-phaT
rahne de apni bazm mein kuchh bolun main agar
manind-e-shama phir wahin meri zaban ko kaT
ab is gali mein aata jo hai har ghaDi 'raza'
kuchh to mili hai wan se tujhe meri baT chaT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.