sach kahne se yar KHafa ho jate hain
sach kahne se yaar ḳhafā ho jaate haiñ
dil ke sab armān havā ho jaate haiñ
had se ziyāda izzat dene par dekho
aise vaise log ḳhudā ho jaate haiñ
merī tarah jiine se hī is duniyā meñ
jiine ke haq saare adā ho jaate haiñ
tum jaise to sochte rahte haiñ buzdil
ham haq pe ik pal meñ fanā ho jaate haiñ
dil par khā ke zaḳhm mohabbat ke yaaro
ham ġham ke māroñ kī davā ho jaate haiñ
sach kahne se yar KHafa ho jate hain
dil ke sab arman hawa ho jate hain
had se ziyaada izzat dene par dekho
aise waise log KHuda ho jate hain
meri tarah jine se hi is duniya mein
jine ke haq sare ada ho jate hain
tum jaise to sochte rahte hain buzdil
hum haq pe ek pal mein fana ho jate hain
dil par kha ke zaKHm mohabbat ke yaro
hum gham ke maron ki dawa ho jate hain
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 223)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.