sach kahte ho ek kahani kis kis se dohraoge
sach kahte ho ek kahani kis kis se dohraoge
Syed Mohammad Ahmad Naqvi
MORE BYSyed Mohammad Ahmad Naqvi
sach kahte ho ek kahānī kis kis se dohrāoge
jab bhī merā naam sunoge nā-vāqif ban jāoge
ret ke ghar se khelo jab bhī TūTegā ban jā.egā
dil se na khelo TuuT gayā to tum bhī khel na pāoge
tum to ḳhud bhī shīsha nikle tum se kyā ummīd kareñ
ham samjhe the parbat parbat tum patthar pighlāoge
chaḌhtā sūraj ghaTte ghaTte maġhrib meñ kho jaatā hai
is nagrī kī riit yahī hai tum bhī Thokar khāoge
āñkhoñ kī bastī ne tum ko shabnam naam se jaanā thā
kis ko ḳhabar thī dil nagrī meñ tum patthar kahlāoge
phūloñ se zaḳhmī haiñ rūheñ ab jismoñ kī baarī hai
pathrā.ī haiñ aas meñ āñkheñ kab patthar barsāoge
'naqvī' ghuum rahī hai dhartī tum bhī apnā kaam karo
yādoñ ke gumbad meñ āḳhir kab tak jī bahlāoge
sach kahte ho ek kahani kis kis se dohraoge
jab bhi mera nam sunoge na-waqif ban jaoge
ret ke ghar se khelo jab bhi TuTega ban jaega
dil se na khelo TuT gaya to tum bhi khel na paoge
tum to KHud bhi shisha nikle tum se kya ummid karen
hum samjhe the parbat parbat tum patthar pighlaoge
chaDhta suraj ghaTte ghaTte maghrib mein kho jata hai
is nagri ki rit yahi hai tum bhi Thokar khaoge
aankhon ki basti ne tum ko shabnam nam se jaana tha
kis ko KHabar thi dil nagri mein tum patthar kahlaoge
phulon se zaKHmi hain ruhen ab jismon ki bari hai
pathrai hain aas mein aankhen kab patthar barsaoge
'naqwi' ghum rahi hai dharti tum bhi apna kaam karo
yaadon ke gumbad mein aaKHir kab tak ji bahlaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.