sach ki KHatir bata tu laDa hai kabhi
sach kī ḳhātir batā tū laḌā hai kabhī
haq pe rah kar qadam bhar chalā hai kabhī
kyuuñ kamī terī mahsūs hogī mujhe
saath mere kahāñ tū rahā hai kabhī
mujh se pahle bhī to hoñge nāqis yahāñ
shor itnā magar kyā machā hai kabhī
ho ke āzād bhī maiñ to huuñ qaid meñ
par kaTā kar parinda uḌā hai kabhī
tū kyā jaane bikharne meñ kyā lutf hai
raah meñ yaar kī tū bichhā hai kabhī
jhuuT chaltā rahā sar ko ūñchā kiyā
sach bhalā kyā kisī ko dikhā hai kabhī
jis ko paḌh kar zamāna sañvarne lage
sher aisā 'hinā' kyā kahā hai kabhī
sach ki KHatir bata tu laDa hai kabhi
haq pe rah kar qadam bhar chala hai kabhi
kyun kami teri mahsus hogi mujhe
sath mere kahan tu raha hai kabhi
mujh se pahle bhi to honge naqis yahan
shor itna magar kya macha hai kabhi
ho ke aazad bhi main to hun qaid mein
par kaTa kar parinda uDa hai kabhi
tu kya jaane bikharne mein kya lutf hai
rah mein yar ki tu bichha hai kabhi
jhuT chalta raha sar ko uncha kiya
sach bhala kya kisi ko dikha hai kabhi
jis ko paDh kar zamana sanwarne lage
sher aisa 'hina' kya kaha hai kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.