sach se jab iman uThana paDta hai
sach se jab īmān uThānā paḌtā hai
phir is kā nuqsān uThānā paḌtā hai
saare sapne kirchī kirchī TūTeñ jab
dil se har armān uThānā paḌtā hai
sahrā kī jānib uḌte haiñ ab bādal
dariyā kā ehsān uThānā paḌtā hai
hoñToñ se jab nazm ke TukḌe girte haiñ
āñkhoñ se unvān uThānā paḌtā hai
vahshat bhī apnātī hai ham jaisoñ ko
dil meñ bas tūfān uThānā paḌtā hai
sachchā.ī kī jiit kī ḳhātir andhoñ ko
ab bār-e-mīzān uThānā paḌtā hai
ḳhatrā to hai dil kī baat batāne meñ
ḳhatrā merī jaan uThānā paḌtā hai
sach se jab iman uThana paDta hai
phir is ka nuqsan uThana paDta hai
sare sapne kirchi kirchi TuTen jab
dil se har arman uThana paDta hai
sahra ki jaanib uDte hain ab baadal
dariya ka ehsan uThana paDta hai
honTon se jab nazm ke TukDe girte hain
aankhon se unwan uThana paDta hai
wahshat bhi apnati hai hum jaison ko
dil mein bas tufan uThana paDta hai
sachchai ki jit ki KHatir andhon ko
ab bar-e-mizan uThana paDta hai
KHatra to hai dil ki baat batane mein
KHatra meri jaan uThana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.