sach yahi hai ki karam jis pe KHuda karta hai
sach yahī hai ki karam jis pe ḳhudā kartā hai
har bulandī ko vahī shaḳhs chhuā kartā hai
har taraf tū hī mire saath dikhe hai mujh ko
ab hamesha yahī ehsās huā kartā hai
koshishoñ se hī ujāle haiñ jahāñ meñ qaa.em
shams chhuptā hai magar roz ugā kartā hai
dhundh yuuñ hī to fazāoñ meñ nahīñ hai taarī
aag lagtī hai dhuāñ tab hī uThā kartā hai
maañ ye kahtī hai mirī 'umr bhī lag jaa.e tujhe
kaun kis ke liye varna ye du'ā kartā hai
kāmyābī pe bahut apnī maiñ itrātā huuñ
asliyat ye hai jo kartā hai ḳhudā kartā hai
maqsad-e-zīst hai apnā to mohabbat 'hashmat'
sirf ye lafz hī nafrat se judā kartā hai
sach yahi hai ki karam jis pe KHuda karta hai
har bulandi ko wahi shaKHs chhua karta hai
har taraf tu hi mere sath dikhe hai mujh ko
ab hamesha yahi ehsas hua karta hai
koshishon se hi ujale hain jahan mein qaem
shams chhupta hai magar roz uga karta hai
dhundh yun hi to fazaon mein nahin hai tari
aag lagti hai dhuan tab hi uTha karta hai
man ye kahti hai meri 'umr bhi lag jae tujhe
kaun kis ke liye warna ye du'a karta hai
kaamyabi pe bahut apni main itraata hun
asliyat ye hai jo karta hai KHuda karta hai
maqsad-e-zist hai apna to mohabbat 'hashmat'
sirf ye lafz hi nafrat se juda karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.