sachchi baat mein kaDwahaT hai wo to hogi
sachchi baat mein kaDwahaT hai wo to hogi
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
sachchī baat meñ kaḌvāhaT hai vo to hogī
guḌiyā raanī bhī muñh-phaT hai vo to hogī
ye jo pyaar meñ dīvāne haiñ farzāne haiñ
āj-kal in meñ bhī khaTpaT hai vo to hogī
kāñToñ kā hai phuul se rishta ab dānista
nārī-haT bhī bālak-haT hai vo to hogī
pyaar ne shāyad dhokā khāyā dil bhar aaya
duniyā saarī ulaT-palaT hai vo to hogī
kānoñ meñ ras ghol rahī hai bol rahī hai
us ke qadmoñ kī aahaT hai vo to hogī
ḳhvāb kī jannat meñ rahte haiñ sab kahte haiñ
sar ke sāmne bhī chaukhaT hai vo to hogī
rāj-mahal meñ raanī 'zaidī' jaise qaidī
an-jānī sī ghabrāhaT hai vo to hogī
sachchi baat mein kaDwahaT hai wo to hogi
guDiya rani bhi munh-phaT hai wo to hogi
ye jo pyar mein diwane hain farzane hain
aaj-kal in mein bhi khaTpaT hai wo to hogi
kanTon ka hai phul se rishta ab danista
nari-haT bhi baalak-haT hai wo to hogi
pyar ne shayad dhoka khaya dil bhar aaya
duniya sari ulaT-palaT hai wo to hogi
kanon mein ras ghol rahi hai bol rahi hai
us ke qadmon ki aahaT hai wo to hogi
KHwab ki jannat mein rahte hain sab kahte hain
sar ke samne bhi chaukhaT hai wo to hogi
raj-mahal mein rani 'zaidi' jaise qaidi
an-jaani si ghabrahaT hai wo to hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.