sad bahaaron se lala-zar hai dil
sad bahāroñ se lāla-zār hai dil
fasl-e-gul hai ki ḳhār-ḳhār hai dil
shām-dar-shām ik na.e Dhab se
zaḳhm-jūyā-e-nau-bahār hai dil
ḳhuub vāqif hai rāz-e-hastī se
sab ke sīnoñ meñ be-qarār hai dil
hausla chāhiye rafūgar meñ
reza-reza hai tār-tār hai dil
kitne 'armān' dafn haiñ is meñ
naqsh-e-fānī meñ ik mazār hai dil
sad bahaaron se lala-zar hai dil
fasl-e-gul hai ki KHar-KHar hai dil
sham-dar-sham ek nae Dhab se
zaKHm-juya-e-nau-bahaar hai dil
KHub waqif hai raaz-e-hasti se
sab ke sinon mein be-qarar hai dil
hausla chahiye rafugar mein
reza-reza hai tar-tar hai dil
kitne 'arman' dafn hain is mein
naqsh-e-fani mein ek mazar hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.