sad-chaak gareban liye nikle ho kahan ko
sad-chāk garebāñ liye nikle ho kahāñ ko
parkhūñ to zarā ek rafūgar kī zabāñ ko
ik dil thā mujhe yaad hai mahsūs kiyā thā
ik baar tasallī se to siina mirā jhāñko
nam-dīda ba-mushkil ho dukh itnā hī lagā hai
maiñ khol na duuñ zabt mujhe kam nahīñ aañ ko
ik koh ko pahle thā pighalne hī se matlab
darkār hai ik raah bhī ab āb-e-ravāñ ko
avval to ye ik naql hai aur naql bhī bhoñDī
kyā aur batā.ūñ tire andāz-e-bayāñ ko
sad-chaak gareban liye nikle ho kahan ko
parkhun to zara ek rafugar ki zaban ko
ek dil tha mujhe yaad hai mahsus kiya tha
ek bar tasalli se to sina mera jhanko
nam-dida ba-mushkil ho dukh itna hi laga hai
main khol na dun zabt mujhe kam nahin aan ko
ek koh ko pahle tha pighalne hi se matlab
darkar hai ek rah bhi ab aab-e-rawan ko
awwal to ye ek naql hai aur naql bhi bhonDi
kya aur bataun tere andaz-e-bayan ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.