sad-haif adam ko Thukra kar hasti ki ziyarat kar baiThe
sad-haif adam ko Thukra kar hasti ki ziyarat kar baiThe
Akhtar Husain Shaafi
MORE BYAkhtar Husain Shaafi
sad-haif adam ko Thukrā kar hastī kī ziyārat kar baiThe
nādāñ the ham nādānī meñ jiine kī himāqat kar baiThe
ḳhāliq ne navāzā roz-e-azal kis tarah hameñ kyā batlā.eñ
lekin jo amānat paa.ī thī ham us meñ ḳhayānat kar baiThe
is des meñ jab har rahzan ko rahbar kā sharaf paate dekhā
qadroñ ke muhāfiz ho kar bhī qadroñ se baġhāvat kar baiThe
nau-ḳhez guloñ ke aariz par jo maut kī zardī le aa.ī
us bād-e-sabā se ghabrā kar tūfāñ se mohabbat kar baiThe
vo daur gayā jab zālim ko mā.il-ba-karam kartī thī vafā
ham kar ke mohabbat dushman se sāmān-e-qayāmat kar baiThe
āzār na jaane kitne the 'shāfī' se mudāvā kyā hotā
tauhīd ke dīvāne the magar asnām kī taa.at kar baiThe
sad-haif adam ko Thukra kar hasti ki ziyarat kar baiThe
nadan the hum nadani mein jine ki himaqat kar baiThe
KHaliq ne nawaza roz-e-azal kis tarah hamein kya batlaen
lekin jo amanat pai thi hum us mein KHayanat kar baiThe
is des mein jab har rahzan ko rahbar ka sharaf pate dekha
qadron ke muhafiz ho kar bhi qadron se baghawat kar baiThe
nau-KHez gulon ke aariz par jo maut ki zardi le aai
us baad-e-saba se ghabra kar tufan se mohabbat kar baiThe
wo daur gaya jab zalim ko mail-ba-karam karti thi wafa
hum kar ke mohabbat dushman se saman-e-qayamat kar baiThe
aazar na jaane kitne the 'shafi' se mudawa kya hota
tauhid ke diwane the magar asnam ki taat kar baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.