sad-mubarak ho tumhi ko ye tumhaari duniya
sad-mubārak ho tumhī ko ye tumhārī duniyā
ranj-o-nafrat se bharī pyaar se 'aarī duniyā
ham se taqdīr ke māroñ kā na sochā tum ne
sirf apnī hī sañvārī jo sañvārī duniyā
aap munsif haiñ to insāf se ḳhud hī kah deñ
kyā kabhī aisī bhī hotī thī hamārī duniyā
nazm-e-'ālam huā barham jo bikherīñ zulfeñ
aur gesū jo sañvāre to sañvārī duniyā
kuchh ta'alluq to hameñ bhī hai usī sultāñ se
dar pe aatī hai jahāñ ban ke bhikārī duniyā
ab ki baiThe haiñ tasavvur meñ jo un ke 'sā,dī'
ham ne dīvār pe de maarī hai saarī duniyā
sad-mubarak ho tumhi ko ye tumhaari duniya
ranj-o-nafrat se bhari pyar se 'ari duniya
hum se taqdir ke maron ka na socha tum ne
sirf apni hi sanwari jo sanwari duniya
aap munsif hain to insaf se KHud hi kah den
kya kabhi aisi bhi hoti thi hamari duniya
nazm-e-'alam hua barham jo bikherin zulfen
aur gesu jo sanware to sanwari duniya
kuchh ta'alluq to hamein bhi hai usi sultan se
dar pe aati hai jahan ban ke bhikari duniya
ab ki baiThe hain tasawwur mein jo un ke 'sa,di'
hum ne diwar pe de mari hai sari duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.