sada aise na guzrenge yahan sham-o-sahar mere
sada aise na guzrenge yahan sham-o-sahar mere
Saqib Tabassum Saqib
MORE BYSaqib Tabassum Saqib
sadā aise na guzreñge yahāñ shām-o-sahar mere
kabhī ā.eñgī ḳhushiyāñ bhī mujhe milne ko ghar mere
kabhī ūñchī uḌānoñ kā irāda jo kiyā maiñ ne
usī pal kaaT Daale haiñ havāoñ ne ye par mere
talāsh-e-kū-e-yārāñ meñ phirā huuñ dar-ba-dar ho kar
rahe haiñ har ghaḌī ye rāste hī ham-safar mere
azāb-e-hijr meñ yūñhī na jīvan ye guzartā phir
agar tum chāñdnī rātoñ meñ rahte muntazir mere
sadā hī gardish-e-daurāñ se uljhā huuñ maiñ 'sāqib' jī
sadā hote haiñ ab to rāt-din yūñhī basar mere
sada aise na guzrenge yahan sham-o-sahar mere
kabhi aaengi KHushiyan bhi mujhe milne ko ghar mere
kabhi unchi uDanon ka irada jo kiya main ne
usi pal kaT Dale hain hawaon ne ye par mere
talash-e-ku-e-yaran mein phira hun dar-ba-dar ho kar
rahe hain har ghaDi ye raste hi ham-safar mere
azab-e-hijr mein yunhi na jiwan ye guzarta phir
agar tum chandni raaton mein rahte muntazir mere
sada hi gardish-e-dauran se uljha hun main 'saqib' ji
sada hote hain ab to raat-din yunhi basar mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.