sada-e-dil bhi meri KHamushi mein Dub gai
sadā-e-dil bhī mirī ḳhāmushī meñ Duub ga.ī
bisāt-e-shauq ye kis bebasī meñ Duub ga.ī
ḳhush-āmdīd kī ḳhātir khule the lab goyā
baḌe tapāk se shabnam kalī meñ Duub ga.ī
latāfatoñ ne jo dekhā kasāfatoñ kā ḳhulūs
to rūh-e-husn tan-e-āshiqī meñ Duub ga.ī
vo zindagī jo panaptī thī dil kī vus.at meñ
har ek shai kī musalsal kamī meñ Duub ga.ī
sahar ke ruup meñ 'rāhī' vo phir bahāl huī
ġhamoñ kī raat jo zinda-dilī meñ Duub ga.ī
sada-e-dil bhi meri KHamushi mein Dub gai
bisat-e-shauq ye kis bebasi mein Dub gai
KHush-amdid ki KHatir khule the lab goya
baDe tapak se shabnam kali mein Dub gai
latafaton ne jo dekha kasafaton ka KHulus
to ruh-e-husn tan-e-ashiqi mein Dub gai
wo zindagi jo panapti thi dil ki wusat mein
har ek shai ki musalsal kami mein Dub gai
sahar ke rup mein 'rahi' wo phir bahaal hui
ghamon ki raat jo zinda-dili mein Dub gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.