sada-e-dil ko chhu kar aa rahe hain
sadā-e-dil ko chhū kar aa rahe haiñ
ham āb-o-gil ko chhū kar aa rahe haiñ
jo lā-hāsil hai apnī zindagī meñ
usī manzil ko chhū kar aa rahe haiñ
javāñ titlī ke rangoñ ko lagā kar
tumhāre dil ko chhū kar aa rahe haiñ
nahīñ ruḳhsār chūme ham ne us ke
bas us ke til ko chhū kar aa rahe haiñ
jahāñ par log aksar Dūbte haiñ
ham us sāhil ko chhū kar aa rahe haiñ
sada-e-dil ko chhu kar aa rahe hain
hum aab-o-gil ko chhu kar aa rahe hain
jo la-hasil hai apni zindagi mein
usi manzil ko chhu kar aa rahe hain
jawan titli ke rangon ko laga kar
tumhaare dil ko chhu kar aa rahe hain
nahin ruKHsar chume hum ne us ke
bas us ke til ko chhu kar aa rahe hain
jahan par log aksar Dubte hain
hum us sahil ko chhu kar aa rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.