sada-e-jars hun na aah-e-na-rasa hun main
sadā-e-jars huuñ na āh-e-nā-rasā huuñ maiñ
naqīb-e-sub.h-e-bahārāñ hai vo sadā huuñ maiñ
ba-faiz-e-'ishq yahāñ tak pahuñch gayā huuñ maiñ
harīm-e-nāz kā bhī rāz-āshnā huuñ maiñ
havā meñ uḌtī huī gard-e-ḳhāk-e-pā huuñ maiñ
ḳhirad kī aañkh se dekho to kīmiyā huuñ maiñ
haiñ ḳhizr jis ke liye garm-e-justujū ab bhī
hai rahnumā sar-e-manzil vo naqsh-e-pā huuñ maiñ
yahīñ pe ḳhatm nahīñ merī justujū kā safar
abhī to duur se manzil ko dekhtā huuñ maiñ
jhukī nigāh ne kyā kah diyā hai ye dil se
junūn-e-shauq kī had se guzar gayā huuñ maiñ
ġham-e-zamāna ye kyā gul khilā gayā 'naġhmī'
har ek chehra fasurda hai dekhtā huuñ maiñ
sada-e-jars hun na aah-e-na-rasa hun main
naqib-e-subh-e-bahaaran hai wo sada hun main
ba-faiz-e-'ishq yahan tak pahunch gaya hun main
harim-e-naz ka bhi raaz-ashna hun main
hawa mein uDti hui gard-e-KHak-e-pa hun main
KHirad ki aankh se dekho to kimiya hun main
hain KHizr jis ke liye garm-e-justuju ab bhi
hai rahnuma sar-e-manzil wo naqsh-e-pa hun main
yahin pe KHatm nahin meri justuju ka safar
abhi to dur se manzil ko dekhta hun main
jhuki nigah ne kya kah diya hai ye dil se
junun-e-shauq ki had se guzar gaya hun main
gham-e-zamana ye kya gul khila gaya 'naghmi'
har ek chehra fasurda hai dekhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.