sada-e-kun hui yaksar wujud mein aaya
sadā-e-kun hui yaksar vujūd meñ aayā
maiñ bhar chukā to samundar vujūd meñ aayā
aur is se pahle yahāñ kuchh nahīñ thā kuchh bhī nahīñ
ye mere dekhte manzar vujūd meñ aayā
ḳhudā ko shakl kī hasrat huī thī jis lamhe
sunā hai tab mirā paikar vujūd meñ aayā
use batāyā thā maiñ ne maiñ rang laatā nahīñ
vo jānte hue banjar vujūd meñ aayā
ye log jis kā tasavvur bhī kar nahīñ sakte
vo mere vāste aksar vujūd meñ aayā
vo TūT-phūT kisī kaam aa ga.ī 'faisal'
maiñ pahle se kahīñ behtar vujūd meñ aayā
sada-e-kun hui yaksar wujud mein aaya
main bhar chuka to samundar wujud mein aaya
aur is se pahle yahan kuchh nahin tha kuchh bhi nahin
ye mere dekhte manzar wujud mein aaya
KHuda ko shakl ki hasrat hui thi jis lamhe
suna hai tab mera paikar wujud mein aaya
use bataya tha main ne main rang lata nahin
wo jaante hue banjar wujud mein aaya
ye log jis ka tasawwur bhi kar nahin sakte
wo mere waste aksar wujud mein aaya
wo TuT-phuT kisi kaam aa gai 'faisal'
main pahle se kahin behtar wujud mein aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.