sada-e-muzhda-e-la-taqnatu ke dhaare par
sadā-e-muzhda-e-lā-taqnatū ke dhāre par
charāġh jalte rahe aas ke manāre par
ajiib ism thā lab par ki paañv uThte hī
maiñ ḳhud ko dekhtā thā arsh ke kināre par
ajiib 'umr thī sadiyoñ se rehn rakkhī huī
ajiib saañs thī chaltī thī bas ishāre par
vo ek aañkh kisī ḳhvāb kī tamannā meñ
vo ek ḳhvāb ki rakkhā huā sharāre par
isī zamīn kī jānib palaT ke aanā thā
utar bhī jaate agar ham kisī sitāre par
matā-e-harf kahīñ be-asar nahīñ 'shahbāz'
ye kā.enāt bhī hai kun ke isti'āre par
sada-e-muzhda-e-la-taqnatu ke dhaare par
charagh jalte rahe aas ke manare par
ajib ism tha lab par ki panw uThte hi
main KHud ko dekhta tha arsh ke kinare par
ajib 'umr thi sadiyon se rehn rakkhi hui
ajib sans thi chalti thi bas ishaare par
wo ek aankh kisi KHwab ki tamanna mein
wo ek KHwab ki rakkha hua sharare par
isi zamin ki jaanib palaT ke aana tha
utar bhi jate agar hum kisi sitare par
mata-e-harf kahin be-asar nahin 'shahbaz'
ye kaenat bhi hai kun ke isti'are par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.