sada-e-rahguzar ko taras gaya hun main
sadā-e-rāhguzar ko taras gayā huuñ maiñ
tumhāre saath safar ko taras gayā huuñ meñ
na jaane kyā huī mujh se kisī kī haq-talfī
lagā ke peḌ samar ko taras gayā huuñ maiñ
shajar pe baiThe parinde uḌā diye the kabhī
ab apne ghar meñ bhī ghar ko taras gayā huuñ maiñ
harām rozī kā luqma chabā liyā thā kabhī
duā.eñ kar ke asar ko taras gayā huuñ maiñ
uThā jo sar se mire vāldain kā saaya
to ik shafīq nazar ko taras gayā huuñ maiñ
mire nasīb ko tārīkiyoñ ne gher liyā
vo shab milī ki sahar ko taras gayā huuñ maiñ
zamīñ ke chāñd kā dīdār kyā huā 'shaidā'
to āsmāñ ke qamar ko taras gayā huuñ maiñ
sada-e-rahguzar ko taras gaya hun main
tumhaare sath safar ko taras gaya hun mein
na jaane kya hui mujh se kisi ki haq-talfi
laga ke peD samar ko taras gaya hun main
shajar pe baiThe parinde uDa diye the kabhi
ab apne ghar mein bhi ghar ko taras gaya hun main
haram rozi ka luqma chaba liya tha kabhi
duaen kar ke asar ko taras gaya hun main
uTha jo sar se mere waldain ka saya
to ek shafiq nazar ko taras gaya hun main
mere nasib ko tarikiyon ne gher liya
wo shab mili ki sahar ko taras gaya hun main
zamin ke chand ka didar kya hua 'shaida'
to aasman ke qamar ko taras gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.