sada fariyaad ki aae kahin se
sadā fariyād kī aa.e kahīñ se
vo zālim bad-gumāñ hogā hamīñ se
ḳhudā samjhe but-e-sehr-āfrīñ se
garebāñ ko laḌāyā āstīñ se
chaman hai sho.ala-e-gul se charāġhāñ
bahār aa.ī navā-e-ātishīñ se
ḳhirad hai ab bhī jis ke hal se aajiz
vo nukte hal kiye ham ne yaqīñ se
salāmat vus.at-ābād-e-mohabbat
bahut aage haiñ ham duniyā-o-dīñ se
ma.āz-allāh jalāl us āstāñ kā
Tapak paḌte haiñ sajde ḳhud jabīñ se
sada fariyaad ki aae kahin se
wo zalim bad-guman hoga hamin se
KHuda samjhe but-e-sehr-afrin se
gareban ko laDaya aastin se
chaman hai shoala-e-gul se charaghan
bahaar aai nawa-e-atishin se
KHirad hai ab bhi jis ke hal se aajiz
wo nukte hal kiye hum ne yaqin se
salamat wusat-abaad-e-mohabbat
bahut aage hain hum duniya-o-din se
maaz-allah jalal us aastan ka
Tapak paDte hain sajde KHud jabin se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.