sada rahegi yahi rawani rawan hai pani
sadā rahegī yahī ravānī ravāñ hai paanī
bahāo is kā hai jāvedānī ravāñ hai paanī
bahāv meñ bah rahe haiñ mausam nigāh manzar
bahā.e jaatā hai sab ko paanī ravāñ hai paanī
kabhī the in rāstoñ meñ qarye makān chehre
ye dāstāñ hai magar purānī ravāñ hai paanī
na ab vo sāhil na ab vo hastī na vo fasīleñ
na us zamīñ kī koī nishānī ravāñ hai paanī
vahāñ vo aqlīm jis pe sikka ravāñ thā apnā
yahāñ havāoñ kī hukmrānī ravāñ hai paanī
vo raat din bhī isī ravānī meñ bah chuke haiñ
bikhar chukīñ vo ruteñ suhānī ravāñ hai paanī
yahāñ maiñ dohrā rahā huuñ pahle safar kī bāteñ
magar kahāñ ab vo shādmānī ravāñ hai paanī
ye ashk dhuñdlā rahe haiñ paiham miTā rahe haiñ
nigāh meñ yaad kī kahānī ravāñ hai paanī
vo mahfileñ haiñ na ab vo sāthī rahe haiñ baaqī
na ab vo bachpan na vo javānī ravāñ hai paanī
sada rahegi yahi rawani rawan hai pani
bahao is ka hai jawedani rawan hai pani
bahaw mein bah rahe hain mausam nigah manzar
bahae jata hai sab ko pani rawan hai pani
kabhi the in raston mein qarye makan chehre
ye dastan hai magar purani rawan hai pani
na ab wo sahil na ab wo hasti na wo fasilen
na us zamin ki koi nishani rawan hai pani
wahan wo aqlim jis pe sikka rawan tha apna
yahan hawaon ki hukmrani rawan hai pani
wo raat din bhi isi rawani mein bah chuke hain
bikhar chukin wo ruten suhani rawan hai pani
yahan main dohra raha hun pahle safar ki baaten
magar kahan ab wo shadmani rawan hai pani
ye ashk dhundla rahe hain paiham miTa rahe hain
nigah mein yaad ki kahani rawan hai pani
wo mahfilen hain na ab wo sathi rahe hain baqi
na ab wo bachpan na wo jawani rawan hai pani
- Book : meyaar (Pg. 353)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.