sada se muntazir tha kab sada aae dariche se
sadā se muntazir thā kab sadā aa.e darīche se
mirā dam ghuT rahā hai ab havā aa.e darīche se
tire lahje meñ tujh ko hī pukārā hai to mumkin hai
havā ke haath ab terā patā aa.e darīche se
maiñ dil meñ kab talak bār-e-ġham-e-jānāñ liye phirtā
jo us ne dar nahīñ kholā sunā aa.e darīche se
kisī ke hijr kī lazzat baḌhī hai baad muddat ke
kisī kī yaad kā panchhī uḌā aa.e darīche se
faqīroñ ko diye haiñ aaj tere naam par sikke
ki terī zindagī kī phir duā aa.e darīche se
liyā hai ghar tumhāre ghar ke bilkul sāmne kyūñki
sadā aa.e darīche se sadā aa.e darīche se
tirī ummīd par rakkhā thā ik jaltā diyā jānāñ
use bhī aaj ham qasdan bujhā aa.e darīche se
sada se muntazir tha kab sada aae dariche se
mera dam ghuT raha hai ab hawa aae dariche se
tere lahje mein tujh ko hi pukara hai to mumkin hai
hawa ke hath ab tera pata aae dariche se
main dil mein kab talak bar-e-gham-e-jaanan liye phirta
jo us ne dar nahin khola suna aae dariche se
kisi ke hijr ki lazzat baDhi hai baad muddat ke
kisi ki yaad ka panchhi uDa aae dariche se
faqiron ko diye hain aaj tere nam par sikke
ki teri zindagi ki phir dua aae dariche se
liya hai ghar tumhaare ghar ke bilkul samne kyunki
sada aae dariche se sada aae dariche se
teri ummid par rakkha tha ek jalta diya jaanan
use bhi aaj hum qasdan bujha aae dariche se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.