sadaqat ki yahan girti hui diwar dekhi hai
sadāqat kī yahāñ girtī huī dīvār dekhī hai
sitam kī jiit dekhī hai karam kī haar dekhī hai
ġharīboñ kī hī kashtī ko hamesha Dūbte dekhā
amīr-e-shahr kī kashtī hamesha paar dekhī hai
amīr-e-shahr un āñkhoñ meñ kitnā mohtaram hai tū
jin āñkhoñ ne tirī zillat sar-e-bāzār dekhī hai
in āñkhoñ ne sar-e-neza koī bhī sar nahīñ dekhā
magar dushman ke qadmoñ meñ phir ik dastār dekhī hai
ḳhamoshī ko hamārī bai'at-o-tā.īd mat samjho
agar tum ne hamārī jur.at-e-inkār dekhī hai
buzurgoñ ne hamāre jis pe sūra-fat.h likkhā thā
ajā.ib ghar meñ kal 'tashna' vahī talvār dekhī hai
sadaqat ki yahan girti hui diwar dekhi hai
sitam ki jit dekhi hai karam ki haar dekhi hai
gharibon ki hi kashti ko hamesha Dubte dekha
amir-e-shahr ki kashti hamesha par dekhi hai
amir-e-shahr un aankhon mein kitna mohtaram hai tu
jin aankhon ne teri zillat sar-e-bazar dekhi hai
in aankhon ne sar-e-neza koi bhi sar nahin dekha
magar dushman ke qadmon mein phir ek dastar dekhi hai
KHamoshi ko hamari bai'at-o-taid mat samjho
agar tum ne hamari jurat-e-inkar dekhi hai
buzurgon ne hamare jis pe sura-fath likkha tha
ajaib ghar mein kal 'tashna' wahi talwar dekhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.