sadd-e-rah aap agar laghzish-e-raftar na ho
sadd-e-rāh aap agar laġhzish-e-raftār na ho
rāh-rau ko rah-e-dushvār bhī dushvār na ho
dūriyāñ dūrī-e-manzil ke tavahhum kī thiiñ
dekh nazdīk rag-e-jāñ hī kahīñ yaar na ho
kar sake kaise jilā koī us ā.īne par
bār-e-saiqal bhī uThāne ko jo tayyār na ho
kahīñ us ke liye manzil kī khulī hai āġhosh
jis meñ josh-e-safar-e-kūcha-e-dildār na ho
josh-e-vahshat meñ nikal jā.iye bastī se magar
sar kahāñ phoḌiye jab sāmne dīvār na ho
hāsil-e-girya-e-shab kyā ye gudāz-e-shabnam
dāman-e-sabza-o-gul bhī jo guhar-bār na ho
kisī gul-būTe kā kyā hogā nigahbāñ 'ārif'
jo ki ḳhud apne gulistāñ kā vafādār na ho
sadd-e-rah aap agar laghzish-e-raftar na ho
rah-rau ko rah-e-dushwar bhi dushwar na ho
duriyan duri-e-manzil ke tawahhum ki thin
dekh nazdik rag-e-jaan hi kahin yar na ho
kar sake kaise jila koi us aaine par
bar-e-saiqal bhi uThane ko jo tayyar na ho
kahin us ke liye manzil ki khuli hai aaghosh
jis mein josh-e-safar-e-kucha-e-dildar na ho
josh-e-wahshat mein nikal jaiye basti se magar
sar kahan phoDiye jab samne diwar na ho
hasil-e-girya-e-shab kya ye gudaz-e-shabnam
daman-e-sabza-o-gul bhi jo guhar-bar na ho
kisi gul-buTe ka kya hoga nigahban 'arif'
jo ki KHud apne gulistan ka wafadar na ho
- Book : متاع دل و جاں (Pg. 175)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.