sadiyan guzar din yahan lamhe ko kaT kar
sadiyāñ guzār diiñ yahāñ lamhe ko kaaT kar
rasta banā chukā huuñ maiñ raste ko kaaT kar
jo bhī qarīb us ke gayā vo jhulas gayā
rakkhā ho jaise jism meñ sho'le ko kaaT kar
talvār kā jo kaam thā nazroñ se le gayā
hoñToñ kā vaar kar diyā barchhe ko kaaT kar
rakhnā hai kis tarah mujhe girdāb kā vujūd
sīkhā hai maiñ ne kaam ye raqbe ko kaaT kar
ye lafz jo haiñ she'r ke qatre haiñ ḳhuun ke
hotā hai ek misra' kaleje ko kaaT kar
bistar pe merī aahoñ kī lāsheñ sulag rahīñ
dekhā hai maiñ ne raat ye takiye ko kaaT kar
ik roz khul ga.ī mirī raftār kī giraft
aage nikal gayā bure achchhe ko kaaT kar
pahle banāyā zāviya is dil meñ qaid kā
phir ghar banā liyā usī piñjre ko kaaT kar
is raushnī kī lau se dhuāñ dāġh-dār thā
jaltā charāġh gul kiyā dhāge ko kaaT kar
shiddat-pasand shaḳhs thā jis ko thā mujh se pyaar
siine ko nochtā thā vo kurte ko kaaT kar
us kī daġhā thī jis meñ du'ā hī 'muqīm' thī
samjhā liyā hai ḳhud ko ye nuqte ko kaaT kar
sadiyan guzar din yahan lamhe ko kaT kar
rasta bana chuka hun main raste ko kaT kar
jo bhi qarib us ke gaya wo jhulas gaya
rakkha ho jaise jism mein sho'le ko kaT kar
talwar ka jo kaam tha nazron se le gaya
honTon ka war kar diya barchhe ko kaT kar
rakhna hai kis tarah mujhe girdab ka wujud
sikha hai main ne kaam ye raqbe ko kaT kar
ye lafz jo hain she'r ke qatre hain KHun ke
hota hai ek misra' kaleje ko kaT kar
bistar pe meri aahon ki lashen sulag rahin
dekha hai main ne raat ye takiye ko kaT kar
ek roz khul gai meri raftar ki giraft
aage nikal gaya bure achchhe ko kaT kar
pahle banaya zawiya is dil mein qaid ka
phir ghar bana liya usi pinjre ko kaT kar
is raushni ki lau se dhuan dagh-dar tha
jalta charagh gul kiya dhage ko kaT kar
shiddat-pasand shaKHs tha jis ko tha mujh se pyar
sine ko nochta tha wo kurte ko kaT kar
us ki dagha thi jis mein du'a hi 'muqim' thi
samjha liya hai KHud ko ye nuqte ko kaT kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.